Elke keer als ik op zoek ben naar inspiratie, ga ik terug naar deze Ghazal van Allama Iqbal: Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain Tihi Zindagi Ke Nahin Yeh Fazaayein Yahan Sainkadon Kaaravaan Aur Bhi Hain Qanaa'at Nah Kar Aalam-e-Rang-o-Bu Par Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Hain Agar Kho Gaya Ek Nasheman Tho Kya Gham Muqaamaat-e-Aah-o-Fughaan Aur Bhi Hain Tu Shaaheen Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera Tere Saamne Aasmaan Aur Bhi Hain Isi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Nah Rah Jaa Kih Tere Zamaan-o-Makaan Aur Bhi Hain Gaye Din Ke Tanhaa Thaa Main Anjuman Mein Yahaan Ab Mere Raaz-Daan Aur Bhi Hain